Unko apne haal ka hisab kya dete,
sawal sare galat the to jawab kya dete |
Wo to 3 lafjo ki hifajat na kar sake,
To unke hath me zindgi ki puri kitab kya dete ||
*****
Dil ke Sare Arman Le Jate Hain,
Humse Hamari Pehchan Le Jate Hain |
Bepanah na Chahna Kisi ko,
Quki Jaan Kehne Wale hi "JAAN" le Jate Hain ||
*****
Pyar kismat hai Koi Khwab nahi,
Ye wo khel Hai jisme sab kamyab nahi |
Jinhe ishq ki panah mili wo kuch log hai,
Aur , Jinke dil tute unka koi hisab nahi ||
*****
Hum mohabat ki numaish nahi karte,
Hum lafzon ki paimaish nahi karte |
Jise chahte hain Dil se chahte hai,
Badle me chahne ki farmaish nahi karte ||
*****
*****Share your "Selected Shayari" in Comment box and be a part of this blog*****
1 comment:
HI AAPKA SAYARI DIL KO CHHU LENE BALA HOTA HAI.
Post a Comment