Saturday, 24 March 2012

Selected Shayari 3

Kabhi mere hi aansoo mujse ye sawal karte hai,
aap kyo kisi se itna pyar karte hai |
Jinko khabar hi nahi hai in aansuo ki,
Unke liye kyo hume barbad karte hai ||
*****


Nigaho par nigaho ke pehre hote hai,
In nigaho ke ghav bahut gahre hote hai |
Na jane kyu koste hai badsoorti ko log,
Jabki sabko barbad karne wale ye hasin chehre hote hai ||
*****


Pyar lafjon ka mohtaz nahi hota,
Dil me har kisi ke raj nahi hota |
Kyo intazar karte hai log Velentine Day ka,
Kya sal ka har din pyar ki Haqdar nahi hota ||
*****


Wada kar lete hai nibhana bhul jaate hai,
Lagakar aag bhujana bhul jaate hai |
Ye to adat ho gai hai ab unki,
Rulate hai aur manana bhul jaate hai ||
*****

Hum nahi jeet sake unse wo aisi shart lagane lage,
Pyari si aankho ko meri aankho se ladane lage|
Hum shayad jeet bhi jate , par palke humne tab zapki,
Jab unki palko se aansoo aane lage ||
*****

No comments: